Wednesday, November 30, 2011

Haal-e-dil


Haal-e-dil suna diya humne unhe,
puri duniya se nazren bachakar,
wo fir bhi muh fer kar chal diye
us mulakat ko adhura chhodh kar.......

Labon par ek baat aayi hai
bade dino baad ye haseen raat aayi hai
yu chhodh kar akele tanha hame na jao
ki maine puri duniya se bas thokar hi khayi hai

Sunday, November 27, 2011

Darakhton Se Behne Lage Hain Aansu


Unhe dhundte rehte hai har waqt,
hum apni udaasiyon se nikal kar,
wo na jane kahan chup k baithe hain,
hume in veeraniyon me chodh kar,
ki ab saha nahi jata koi gum iss dil par,
koi jakar keh unhe ki ab laut aayein
wo meri jindgi me khusi ban kar
kaise bayan karu main haal-e-dil 
ki darakhton se bhi behne lage hain, 
ansu aaj lahu bankar.................... 




Thanks
Rishi Agarwal

Sunday, November 20, 2011

Tere Vaste Mera Ishq Sufiana


Ishq k masoom chere par sufi chadar ka hai parda 
Mere mehboob ki aankhon ka rang hai aaj sunehra
Chalak raha hai Jaam, unki madhos adaaon se
Ki ab thehra bhi nahi jata hai inn shokh hawaon se 
Ghayal kar k meri ruh ko, wo kahan ja rahe hain
Hum to sirf unke ishq me fanah hue ja rahe hain......

Thursday, November 10, 2011

Waqt Laga Dete Hain Log........

1.      Bahut waqt laga dete hain log pehchanne me
         Phir baith kar tanhai me rote hain
         Zindgi aise hi chalti rahegi mere dost
         Log tadapte rahenge, aur wo 
         Mohabbat ko aawargi kehte rahenge,
         Par bura na kehna unhe kabhi
         Kyun ki wahi to hain jinhone 
         Mohabbat karna sikha diya,
         Kisi k liye marna sikha diya
         Ye aur baat hai ki, 
         Wo khud isse anjaan the......


2.      Sath lekar koi kisi ko nahi aaya iss jahan me 
         Akele aaye the, akele hi jana hai
         Phir kyun kisi k aane ka,
         Na aane ka gum uthana hai,
         Ye waqt ki sui chalti rahegi hamesha
         Ye kafila yun hi badhta rahega hamesha.....

CBSE Sample Paper Solution 24-25

Section A (1 Mark Each) Question 1 Answer False Question 2 Answer #THONPROGRAM Question 3 Answer not(True) and False Que...