Sunday, September 23, 2012

Meri Nazar

1. Unhe hum najar aayein na aayein,
    Wo hume har waqt nazar aate hain,
    Aaj bhi jab dekhta hun parchayi ko apni,
    Wo mujhe sath chalte hue nazar aate hain...

2. Tu ghalib se mujhe kam nahi lagta,
    Tera shar ummeed se kam nahi lagta,
    Ye aur baat hai ki tera mehboob,
    Mujhe tere ru-baru nahi dikhta....


3. Wo khush rahe bas yahi fariyaad karte hain,
    Hum toot kar bikhar jane me vishwas karte hain,

    Wo kya jane ki sachhi mohabbat kya hai,
    Hum to unse dur hokar bhi unhe yaad karte hain...

4. Na intezaar karna chahta hun,
    Na ikraar karna chahta hun,
    Main to bas apne mehboob se
    Be-intehaan pyar karna chahta hun.... 

No comments:

Post a Comment

The "Khatakhat Model" of R. Gandhi: A Path to Economic Decline?

Himachal Pradesh has once again come into the spotlight due to its worsening economic situation. Recently, when the state struggled to pay e...