Sunday, May 26, 2013

KAASH YE PHOOL KABHI BOL SAKTE....

Kash ki ye phool bhi
Kabhi bol sakte,

Apni mehek ko ye bhi
Mehsoos kar sakte,

Kash ki inn bejaano
Mein bhi jaan hoti,
Koi todta inhe to inki bhi 
Rooh kaanp uthti,

Kash aansu bahakar ye bhi 
Apna dard halka karte,
Duniya ke tamam logo ko
Apna dard bayan karte,

Ye phool bikharkar bhi 
Logon ko khushi dete hain,
Par hum itne khudgarj hain
Ki inn par daya nahi karte....


By- 
Rishi Agarwal

No comments:

Post a Comment

From Partnership to Prosecution: Why Do Modern Parents See Teachers as the Opposition?

There was a time, not too long ago, when a note from a teacher about a child's misbehavior was met with a stern look from parents at hom...