Bharat duniya ka sabse bada loktantra (democracy) hai. Loktantra ki buniyad is baat par tiki hai ki power (satta) janta ke haath mein hoti hai. Lekin aaj ki vastavikta yeh hai ki rajniti kuch chuni hui hastiyon aur parivaron ka permanent career ban chuki hai. Ek baar jo vyakti rajniti mein aata hai, woh saalon tak kursi par jam jata hai.
Is vyavastha ko badalne ke liye ab yeh zaroor ho gaya hai ki netaon ki service ki seema (term limit) fixed ki jaye, jaise ki maximum 5 saal, aur desh ke sabhi aam nagrikiyon ko chunav ladne ka barabar avasar mile.
Term Limit Kyon Zaroori Hai?
Power ka Misuse aur Bhrashtachar par Lagaam:
Jab kisi neta ko pata hota hai ki woh lambe samay tak kursi par bana rahega, toh usme ahem (ego) aur bhrashtachar panapne lagta hai. 5 saal ki fix seema se netaon mein yeh darr rahega ki unke paas kaam dikhane ke liye sirf सीमित samay hai.
Naye Vichaar aur Yuva Leadership:
Aaj ka Bharat ek yuva desh hai. Lekin hamare neta aur unke soch aksar purani vyavastha par aadharit hote hain. Agar 5 saal mein naye log aayenge, toh desh ko naye ideas, technology aur modern outlook milega.
Aam Nagrik ko Chunav Ladne ka Avasar:
Aaj chunav ladna aam aadmi ke bas ki baat nahi rahi. Baahubali aur paise waale log hi baar-baar chunav jeette hain. Agar service limit tay kar di jaye, toh rajneetik partyon ko majbooran aam, padhe-likhe aur samaj-sevi nagrikiyon ko mauka dena padega.
Karsukta (Efficiency) Mein Sudhar:
Naukriyon mein appraisal aur retirement isliye hota hai taaki organization mein fresh energy bani rahe. Desh chalana bhi ek zimmedari hai, koi rajshahi nahi.
Aage ka Rasta :
Ek swasth loktantra wohi hai jahan satta ka parivartan hota rahe aur har nagrik ko desh ke vikas mein yogdan dene ka barabar mauka mile. Netaon ki service period ko 5 saal karna aur sabhi nagrikiyon ke liye chunav ke dwar kholna Bharat ko ek naye aur sashakt daur mein le ja sakta hai.
Yeh samay ki maang hai ki hum is vishay par khulkar charcha karein aur desh ke political system mein sudhar layein.
No comments:
Post a Comment