Wednesday, December 26, 2012

Chup Chup Ke

1. Baat phoolon ki kabhi sun liya kijiye,
    Hamare sher par bhi kabhi gaur kiya kijiye,
    Ki ab nahi hain bikhri bikhri zulfon wale,
    Jo kabhi Qaafiye rok liya karte the....


2. Wo chup - chup ke hume dekha karte hain,
    Kyun nahi wo humse mila karte hain,
    Hum to baithe hain palke bichaye kabse,
    Wo hain ki aane ka naam hi nahi liya karte hain...


3. Dil kehta hai aaj nayi shuruat ho jaye,
    Jo bichad gaya tha wo mere paas aa jaye,
    Aaj niklu main jidhar se bas usse mulaqat ho jaye,
    Kash mere ghar bhi khusiyon ki barsaat ho jaye...




Tuesday, November 13, 2012

E-Life

E-life is a latest trend of our country. Everything is going to depend on the new culture called E-life. We are current having many electronics and electric things in our home from several years. But now, the computer is providing all the facilities through internet like e-shopping, e-billing, e-governance. Everything is going to be more easier which we have not thought earlier. 

Today we are getting everything on just one-click.But is it helpful to the society of our country. Is it good for the citizens mind who are living here. Is it good for the future?
Yes, it is good for the society and the persons living here but for the future, it is very bad as it is destroying the beautiful mind of our country. In the previous era, we are making our food by our own but now we are going to depend on others. It is only because we are going to adapt the western culture and forgetting our own culture. 
Today, our villages are going to become the developed cities and we are showing that we have cars, byks and all the other facilities in our home but we are not looking that we are capturing the basic needs of our life that is the fields which gives us food and shelter to live. 
The E-life is good but not essential for the society, so we have to use it according to the need only. Please concentrate your mind and think about what we need in the future and then take any decision for the future. 

Thanking you
Rishi Agarwal

Tuesday, October 23, 2012

Bichadte Waqt

Bichadte waqt uske aakhri sabd the mujhse,
Apni zindgi jee lena, mere bagair...
Bhale main khush na rahu tujhse dur reh k,
Tum khush reh lena, mere bagair..
Main bhul to na paungi, tujhe iss janam me,
Tum bhulne ki koshish kar lena, mere bagair...
Tut k bikhar jayegi zindgi meri, tujhse dur hoke,
Tum bikharne na dena zindgi ko, mere bagair...

Sunday, September 23, 2012

Meri Maut Ka Paigam

Pyar ka izhar to kar du main
Par darta hun kahin unhone
Haan kar di to khusi se mar jaunga
Gar na kar di to ro kar mar jaunga
Mujhe maut ka khauf nahi
Mujhe fikr hai unke aansuon ki
Kahin wo na beh jaye unki ankhon se
Meri maut ka paigam sunkar...

Meri Nazar

1. Unhe hum najar aayein na aayein,
    Wo hume har waqt nazar aate hain,
    Aaj bhi jab dekhta hun parchayi ko apni,
    Wo mujhe sath chalte hue nazar aate hain...

2. Tu ghalib se mujhe kam nahi lagta,
    Tera shar ummeed se kam nahi lagta,
    Ye aur baat hai ki tera mehboob,
    Mujhe tere ru-baru nahi dikhta....


3. Wo khush rahe bas yahi fariyaad karte hain,
    Hum toot kar bikhar jane me vishwas karte hain,

    Wo kya jane ki sachhi mohabbat kya hai,
    Hum to unse dur hokar bhi unhe yaad karte hain...

4. Na intezaar karna chahta hun,
    Na ikraar karna chahta hun,
    Main to bas apne mehboob se
    Be-intehaan pyar karna chahta hun.... 

CBSE Admit Cards 2025: Class 10 & 12 Hall Tickets - Download Now & Prepare for Exams!

The Central Board of Secondary Education (CBSE) is gearing up to release the admit cards for the highly anticipated Class 10 and Class 12 bo...