Sunday, October 17, 2010

LATEST POEM "AB TO DARD KI INTEHA HO GAI"

Ab to dard ki inteha ho gai hai, 
wo na jaane kaha kis tanhai me kho gai hai, 
dil to pehle bhi dhadakta tha lekin, 
aaj iski dhadkane jaane kaha kho gai hain.

Koi jake keh do unse meri ek baat
ki ab unke bina rehne ki aadat si ho gai hai,
Kya hua jo wo chale gaye thukrakar hume
Hum reh lenge khushi se aisi nafasat si ho gayi hai.

Har manjar me ab tanhai si hai 
mere muquddar me chayee ruswai si hai,
Har alam mujhe gumgeen lagta hai 
Mere dil me mera janasheen rehta hai 

Na mita sakunga usse apne dil se 
Na bhula sakunga usse jehen se,
uski tasveer ankho me aise basa rakhi hai 
jaise koi jageer si chupa rakhi hai.

Thank you
Rishi kansal

No comments:

Post a Comment

Apeejay Surrendra Park Hotels IPO: Should You Invest Today?

The Apeejay Surrendra Park Hotels (ASPH) IPO hits the market today, February 5th, 2024, offering a chance to invest in a well-established...