Monday, November 8, 2010

NEW POEM "PARDE K SAYE ME"

Waqt thum sa gaya hai
Dhadkan ruk si gayi hai
Saanse atakne lagi hai
Jabse wo mujhse dur jane lagi hai

Kya karun kuch samajh nahi aata
Dil ko mere ab chain nahi aata
Har pal tadapta rehta hun 
Har waqt tanha sa rehta hun

Yadon ne unki bechain kar rakha hai 
Mere dil-o-dimag ko qaid kar rakha hai
Kaise niklun mai iss bandhan se
Jo ab adhura sa ho gaya hai

Ab na koi aarju reh gayi hai 
Ab na koi khwaish reh gayi hai
Ab to bas kuch dhundhli si yaadein 
Hain, jo waqt k sath mitne lagi hai

Dil to nahi kehta inhe mitane ko
Par sanjo bhi nahi sakta,
Inhe mai apne gharane me
Ki kahin pardanashin na ho jaye wo,
Jo rehta hai har waqt parde k saye me. 

Thanking You
RISHI KANSAL

No comments:

Post a Comment

CBSE Sample Paper Solution 24-25

Section A (1 Mark Each) Question 1 Answer False Question 2 Answer #THONPROGRAM Question 3 Answer not(True) and False Que...