Saturday, July 2, 2011

My New Shayaris

Mere Dil k Jazbaat...........


1.     hum to wo aashiq hain
        jo jaat paat nahi samajhte..
        ameeri gareebi ka bhedbhav
        bhi nahi samajhte, fakat
        wo hain ki, taraju lekar
        taulte hain har kisi ko..
        wo kabhi hamare dil k
        jazbaat nahi samajhte..



2.    Na soye hue hum hain na aap hain
        bas sahi waqt k intezaar me hum bhi hain aap bhi hain
        kafile k sath chalne ko taiyaar hum bhi hain aap bhi hain
        bas waqt k aage chote hum bhi hain aap bhi hain



3.    tere ehsaano tale zindgi ji k kya karu
        tere sath rehkar tere gamo se dosti kyu karu
        iss zamane me aur bhi mukammal jahan hain
        kyun na mai wahan ja kar apni zamin talash karu........................



4.    na ehsaan se, na pehchan se
        zindgi to chalti hai imaan se
        pyar ko batte chalo to
        aasan hai zindgi,
        gumo ko chupate chalo to
        ehsaan hai zindgi
        kuch na bhi karo to bhi
        hamari pehchaan hai zindgi.....................



5.    Mohabbat k suroor me nafrat ka saya bhi nahi hota
       bina mohabbat kiye koi hamara nahi hota
       shiddat dikhani hai to jatao hum aaj bhi tumhare hain
       jinse mile ho tum aaj wo to bas begaane hain


6.   khwabo k ehsaas ko bhi dekha
       zindgi ki sachhai ko bhi dekha
       shama to hawa k jhonke se bhuj jati hai
       par mohabbat hai jo sirf dil se ki jati hai


7.   Kishton ki maut badi dardnak hoti hai
       Har waqt maut k farishton se mulakat hoti hai
       Katl kar k vida kar de koi mujhe iss jahan se 
       Ki ab ye tanhaiyan mujhse bardasht nahi hoti hain



No comments:

Post a Comment

The "Khatakhat Model" of R. Gandhi: A Path to Economic Decline?

Himachal Pradesh has once again come into the spotlight due to its worsening economic situation. Recently, when the state struggled to pay e...